Skip to main content
KisanStatus.com logo

KisanStatus.com

Sabhi Cultivators Ke Liye

HomeArticlesRajya Yojana24vi Kist StatusComplete GuideCalculator
Check Status ↗

KisanStatus

Bharat ke kisaanon ke liye — PM Kisan, eKYC, kist status, aur free agricultural calculators.

By Manish Kumar

Quick Links

  • Home
  • All Articles
  • हिंदी योजना गाइड
  • Rajya Yojana
  • Yojana Guides
  • PM Kisan Maandhan
  • Calculators
  • Quick Status Check

Categories

  • Verification & Status
  • Credit & Loans
  • Farming & Schemes
  • Market Rates
  • Pashupalan & Matsya Palan
  • Agri Business & Subsidy

हिंदी श्रेणियाँ

  • सत्यापन और स्थिति
  • ईण और क्रेडिट
  • खेती और योजनाएं
  • बाजार दरें
  • पशुपालन और मत्स्य पालन
  • कृषि व्यवसाय और सब्सिडी

Company & Legal

  • About Us
  • Contact Us
  • Privacy Policy
  • Terms of Service
  • Disclaimer

Website Contact

KisanStatus Se Sampark

Email: kisanstatus.support@gmail.com

Contact form se message bhejein

Mon-Sat 9:30AM - 6:00PM

Facebook Page Par Follow Karein ↗WhatsApp Channel Join Karein ↗

Nayi kist ki date ya list update aate hi main channel par bata deta hoon.

Official Government Links & Helpline

Sarkari Helpline (PM Kisan — Official)

PM Kisan Helpline: 155261 (Toll-Free)

Alt Helpline: 011-24300606

Ye numbers Government of India (PM Kisan) ke official helpline hain — KisanStatus ke nahi.

  • PM Kisan Portal
  • Beneficiary Status
  • New Registration
  • Farmers Corner
  • Dashboard
  • Help & Support

© 2024-2026 KisanStatus — Built with for Indian Farmers

By Manish Kumar | Agricultural Content Expert

Ek kisan ki banayi jaankari wali site

Sarkar se koi naata nahi — not a government website

पशुपालन और मत्स्य पालन→

Bakri Palan Yojana 2026: 50% NLM Subsidy Lene Ka Sahi Tarika aur Complete Guide

Zyada applications fraud ki wajah se reject nahi hoti. Ek gayab document, ek galat naam, ek photo jisme date nahi thi — bas itna hi kaafi hota hai. Ye guide isi ko sudharne ke liye hai.

NLM Bakri Palan Yojana 2026 - Farmer with goats receiving 50% subsidy under National Livestock Mission

2021 Ke Baad Scheme Badal Gayi Hai

Purani scheme mein sarkar seedhe bakriyan de deti thi. Koi business plan nahi, koi accountability nahi. Natija? Do-teen saal mein aadhe se zyada units band ho gaye — na shed sahi tha, na khuraak ka hisaab.

Ab NLM 2.0 mein Department of Animal Husbandry & Dairying ye dekhna chahta hai ki farm ek business ki tarah chale, charity ki tarah nahi. Base subsidy 50% hai. Mahila kisan ya SC/ST category mein ho toh state guidelines ke hisab se ye 60% tak bhi jaa sakti hai.

Kitni Bakriyan Chahiye?

Ye sawal sabse zyada aata hai: "Mere paas 20-30 bakriyan hain, chalega?"

Nahi chalega. Minimum 100 female aur 5 male. Wajah simple hai — koi bhi officer 10-15 bakriyon ke liye poora din site visit mein nahi lagayega, uska hisaab hi nahi banta. Setup chhota hai toh NLM chhod kar apne district ki Pashu Palan schemes dekho, wahan bar kaafi neeche hota hai.

NLM Goat Farming Unit Size and Subsidy Limits 2026
Farm CategoryBakriyan (Female + Male)Anumanit Subsidy Limit
Chhota (Minimum)100 + 5₹10 Lakh tak
Madhyam200-300 + 10-15₹20-30 Lakh tak
Bada (Commercial)500 + 25₹50 Lakh tak

Note: figures approximate hain, state ke hisab se badalte hain. Apply se pehle district office se confirm kar lena.

Breed Chunte Waqt Jaldi Mat Karo

YouTube pe kisi ka video dekh kar breed final mat karo. Jo Punjab mein chal rahi hai wo Rajasthan ke sookhe ilake mein flop bhi ho sakti hai. Har breed ka apna mizaaj hota hai.

  • Jamunapari: UP-Bihar ke liye badhiya, 3-4 litre doodh rozana. Garmi mein heat stress ka dar rehta hai, shed mein hawa ka rasta chhod dena.
  • Sirohi: Rajasthan jaisi sookhi jagah ke liye — kam chara mein bhi chal jaati hai. Naye farmers ke liye sabse safe.
  • Beetal: Punjab-Haryana mein demand achhi, rate bhi. Size badi hai toh khana bhi zyada khaati hai.
  • Black Bengal: Chhoti zameen wale ke liye theek. Ek baar mein 2-3 bachhe deti hai, flock jaldi badhta hai.
Goat farming shed and housing setup for different breeds under NLM subsidy

Breed Final Karne Se Pehle:

  • Local climate suit karta hai ya nahi, dekh lo.
  • Mandi mein us breed ka rate stable rehta hai ya upar-neeche hota rehta hai.
  • Hara chara wahan kitna aasani se milta hai.
  • Koi achha vet aas-paas hai ya sabse pehle Google karna padega.

Chara: Kharcha Yahin Chhupa Hota Hai

Bakri khareedna toh aasaan hai. Roz khilaana asli kaam hai. Ek adult bakri ko body weight ka 3-4% dry matter rozana chahiye. 100 bakriyon pe jod ke dekho — figure chhota nahi rehta.

Roz mandi se hara chara khareedoge toh EMI aur profit dono pareshan honge. Behtar hai apni zameen ke ek tukde pe khud ugao — Kharif mein Maize, Rabi mein Berseem, saal bhar Napier grass. Silage banana bhi seekh lo, lean season mein wahi bachata hai.

Documents: Zyadatar Yahin Fasti Hai Baat

Reject hui applications ka pattern uthao toh ek hi baat baar-baar dikhti hai — koi bada scam nahi, sirf adhoora ya bemel paperwork.

  • Zameen ka kagaz: khatauni akela kaafi nahi. 5 saal ka registered lease ya ownership proof, naam match hona chahiye.
  • Supplier quotations: dated, signed, official. Haath se likha kagaz chalta nahi.
  • DPR: district ke registered vet se banwana behtar — unka stamp weight rakhta hai.
  • Geotagged photos: GPS aur date ke saath. Plain photo reject ho sakti hai.

Documents Checklist (Screenshot le lo):

  1. Aadhaar aur PAN Card (self-attested)
  2. Zameen ka kagaz — registry, khatauni, ya registered kiraya agreement
  3. Bank passbook copy + cancelled cheque
  4. Supplier ke original stamped quotations
  5. DPR, vet ke signature ke saath
  6. Farm site ki geotagged photos
NLM subsidy application documents checklist - Aadhaar, land papers, bank details, and DPR requirements

DPR — Sabse Important Kaam

DPR banana rocket science nahi hai. Bas numbers phule-phule nahi hone chahiye, warna officer ko shak ho jata hai. Teen cheez clear honi chahiye:

  • Capital Cost: shed, feeding trough, water tank, chaff cutter — actual quotation ke saath. Agar job card hai aur scale chhota hai, to shed ka kharcha MGNREGA se bhi nikal sakta hai — pashu shed wali guide mein gram panchayat ka poora rasta likha hai.
  • Recurring Cost: pehle 6 mahine ka chara, feed, mineral mixture, labor.
  • Income Projection: conservative rakho. 15-20% mortality dikhao, warna plan unrealistic lagega.

Vaccination — Isme Chhutti Nahi Chalti

Ek outbreak pura flock saaf kar sakta hai. Darane wali baat nahi, seedhi si sachai hai. Inspection mein vaccination record bhi documents jitna hi dekha jata hai.

  • PPR: har 6 mahine. Sabse zaroori, sarkari dispansary mein aksar free milti hai.
  • Enterotoxaemia: saal mein ek baar, lambing se pehle.
  • FMD: saal mein do baar, 6 mahine ke gap se.
  • Deworming: har 3 mahine, weight gain ke liye zaroori.

Biosecurity Basics:

  • Entry gate pe foot bath rakho.
  • Naye animals seedhe flock mein mat milao — 15-30 din alag rakho.
  • Farm regular saaf karo, disinfect karo.
  • Mari hui bakri ko khule mein mat chhodo, deep burial karo.

Ek Saal Ka Hisaab (100+5 Unit)

State aur mandi rate se numbers thode upar-neeche honge, par rough picture kuch aisa hai:

NLM bakri palan subsidy calculation - 50% subsidy on project cost, ROI and profit estimation breakdown
  • Initial Investment: ₹15-18 Lakh (50% subsidy + baaki loan ya apna paisa)
  • Recurring Cost (pehle 6 mahine): ₹3-4 Lakh
  • Income (Year 1): 90 bachhe bech ke ₹6-7 Lakh, doodh se alag ₹1-1.5 Lakh
  • Net Result: pehla saal tight rehta hai setup cost ki wajah se. Doosre saal se margin 25-30% pe stabilize hota hai.

Cash-Flow Se Pehle Ye Soch Lo:

  • Subsidy aane mein 4-6 mahine lag sakte hain, sabr rakho.
  • Pehle 6 mahine ka kharcha apni pocket ya loan se pehle hi plan kar lo.
  • 3 mahine ka emergency fund side mein rakho.
  • EMI ke liye koi doosra income source ghar mein ho toh achha rahega.

Apply Kaise Karein — Online Registration Ka Process

Portal: nlm.udyamimitra.in

  1. DPR pehle vet se banwa lo.
  2. Portal pe registration karo. OTP kabhi late aata hai, ghabrana nahi.
  3. Documents scan karke upload karo — PDF, 2MB se kam.
  4. Submit karte hi acknowledgment number ka screenshot le lo.
  5. 3-4 mahine wait, isi beech officer site visit karega.
  6. Approval ke baad bills submit karo, tabhi paisa aayega.
NLM Udyamimitra portal application process - step by step online registration and form submission guide

Site Inspection Mein Ye Galtiyan Baar-Baar Hoti Hain:

  • Officer aane tak shed poora ready nahi hota.
  • Quotation mein dikhaya equipment asal mein khareeda nahi gaya.
  • Bakriyon ki ginti quoted number se kam nikalti hai.
  • Original documents farm pe nahi milte, ghar pe rakh diye hote hain.

Approval Ke Baad — Paisa Kaise Aur Kab Milta Hai

Yahi wo hissa hai jo portal pe kahin saaf nahi likha, aur isi liye sabse zyada log yahin confuse hote hain. Subsidy ka paisa ek saath nahi aata — do kisht ka pattern chalta hai:

  • Pehli kisht: project approval + bank loan disbursement ke baad. Bank ke through hi aati hai — seedha aapke haath mein nahi.
  • Doosri kisht: physical verification ke baad — officer dekh kar jaata hai ki unit asal mein chal rahi hai: bakriyan ginti mein poori, shed quotation jaisa, vaccination record maujood.

Iska seedha matlab: subsidy working capital nahi hai. Chara, labor aur pehle 6 mahine ka kharcha apne paise ya loan se chalana hoga. Jo log subsidy ko cash-flow maan kar plan banate hain, unka unit doosri kisht aane se pehle hi haanf jata hai. Bank-end pe deri aam hai — branch se follow-up karte raho aur har visit ka naam-date likh kar rakho, escalation mein yahi kaam aata hai.

Chara-Dawai Ka Rozana Kharcha — Pashu KCC Wala Raasta

Upar clear ho gaya ki subsidy working capital nahi hai. Toh chara, feed aur dawai ka mahine ka kharcha kahan se aayega jab tak unit apna paisa banana shuru nahi karti? Iske liye sahi tool hai Pashu Kisan Credit Card — KCC ka pashupalan wala roop. Ye revolving limit hoti hai: jitna use karo utne par byaj, chukao toh limit wapas khul jaati hai. Bakri palan jaise kaam ke liye animal husbandry limit ₹3 lakh tak hai, aur isi ke andar interest subvention bhi milta hai — samay par chukane wale ko paisa 4% jitna sasta pad jaata hai.

Ek aur kaam ki baat: collateral-free limit ab ₹2 lakh ho gayi hai (pehle ₹1.6 lakh thi — purane blogs abhi bhi wahi likh rahe hain). Matlab ₹2 lakh tak na zameen girvi, na guarantor. NLM ka term loan shed aur bakriyon ke liye, Pashu KCC rozana kharche ke liye — dono ka kaam alag hai, ek doosre ka substitute nahi. Poora process, documents aur banks ki list Pashu KCC apply guide mein hai.

100+5 Bahut Bada Hai? — Chhote Kisan Ke Liye Raasta

NLM ka bar (100 female + 5 male) commercial farming ke liye bana hai. Ghar ke peeche 10-20 bakriyan paalne wale ke liye ye scheme hai hi nahi — aur ye koi kami nahi, bas alag audience hai. Chhote setup ke liye teen raaste hain:

  • State pashupalan schemes: har state ki apni goat-unit scheme hoti hai jisme 10-20 ka unit chalta hai aur subsidy percent bhi aksar achha hota hai — Bihar wali scheme ki poori guide yahan hai.
  • KCC pashupalan limit: Kisan Credit Card mein pashupalan ka working-capital component hai — chara aur dawai ke kharche ke liye sasta paisa. KCC apply guide dekho.
  • Pehle badhao, phir apply karo: 2-3 saal mein herd 50-60 tak le jao, records rakho (kharid ke bill, vaccination card) — phir NLM application mein yahi track record aapka sabse bada plus point banta hai.

FAQs

Bina zameen ke bakri palan subsidy milegi?+
Nahi. Apni zameen ya kam se kam 5 saal ka registered lease agreement chahiye hi hoga. Bahut log ye samajh kar apply karte hain ki khatauni kaafi hai, aur wahi pe fas jaate hain.
Backyard mein 10-15 bakriyan hain, kya mujhe NLM subsidy milegi?+
Nahi. Yahan 100 female + 5 male ka minimum hai. Aapke jaise chhote setup ke liye state-level micro-schemes zyada practical rahegi.
Subsidy ka paisa kitne din mein account mein aata hai?+
Approval mein hi 2-3 mahine chale jaate hain. Fir paisa ek saath nahi, do hisson mein aata hai. Total mila ke 4-6 mahine — plan waisa hi rakhna.
Bank loan ke saath subsidy le sakte hain kya?+
Bilkul, aur ye common practice hai. 50% subsidy, 50% loan. KCC Loan Guide mein poora tarika likha hai.
Bahar ke state se bakriyan mangwane par kya documents chahiye?+
Quarantine certificate aur vehicle fitness certificate — dono zaroori. Bina inke transport illegal count hota hai.
Bakri palan subsidy reject ho gayi — dobara bhej sakte hain?+
Kar sakte hain, aksar log karte bhi hain. Portal reason bata deta hai, wo fix karo aur fir se bhej do.
Subsidy ka paisa ek saath milta hai ya kisht mein?+
Kisht mein. Aam pattern do kisht ka hai — pehli kisht project approve hone aur bank loan disburse hone ke baad, doosri kisht physical verification ke baad jab unit chalti hui dikhe. Matlab poori subsidy pehle din nahi milti — isliye working capital ka intezaam subsidy ke bharose mat chhodo.
NLM ke 100+5 wale bar tak nahi pahunch sakta — chhote setup ke liye kya option hai?+
Apne state ki pashupalan schemes dekho — Rajasthan, UP, Bihar, MP sabki apni goat-unit schemes hain jinme 10-20 bakri ka unit bhi chal jata hai. Bihar ki scheme ka poora process humne alag guide mein likha hai. Doosra rasta: KCC ke pashupalan component se working capital lo aur dheere-dheere herd badhao, phir NLM ke liye apply karo.
Bakri Palan Yojana 2026 ki last date kya hai?+
Fixed last date nahi hai. Portal saal bhar applications leta hai, financial year ke budget khatam hone tak. Apne state ke Pashu Palan office se current status ek baar confirm kar lena.

Official Links

  • Apply karne ki jagah:
  • Latest guidelines:dahd.gov.in ↗

Do-Teen Saal Tikne Wale Hi Profit Dekhte Hain

Paisa tabhi banta hai jab bakri palan ko business ki tarah loge, shauk ki tarah nahi. Documentation pe dhyan do, vet ki baat suno, shuruat mein patience rakho. Raaton-raat kuch nahi hota. Jo 2-3 saal tik jaate hain, wahi profit dekhte hain.

Aage meat processing ka brand banana ho toh PM FME Yojana dekh lena. Aur gobar fekna mat — Vermi Compost bana ke bech do, extra income ban jayega.

Aage Kya Padhein?

Related guides jo kaam aayengi:

Madhumakhi Palan

KVIC subsidy ke saath shahad ka business.

PM Matsya Sampada

Machli palan par 60% tak subsidy.

Drip Irrigation

Chara ugane ke liye 75% tak subsidy.

Manish Kumar
Manish Kumar

Kheti aur sarkari schemes par research aur writing

Kai saal se yojanaon par kaam kar raha hoon. Aadhi mehnat likhne me nahi, verify karne me jaati hai. Helpline par call karna, portal par steps khud try karna, screenshots milana. Boring kaam hai par zaroori hai.

Last Updated: 18/08/2026

Disclaimer:Yeh article sirf jankari ke liye hai. Eligibility, subsidy limits, aur rules state ke hisab se badal sakte hain. Apply karne se pehle latest guidelines apne district animal husbandry office se check kar lena. Last updated: August 2026.

Site Ke Doosre Section — Yeh Bhi Dekhein

  • हिंदी गाइडकिसान आईडी कैसे बनाएं? AgriStack ID Free, मोबाइल से 10 मिनट में
  • हिंदी गाइडPM Kisan eKYC मोबाइल से कैसे करें? OTP और Face Auth तरीका
  • ToolFasal Bima Premium Calculator
  • Maandhan PensionAuto Debit Fail Regularization Kaise Karein
  • Rajya YojanaOdisha CM Kisan — Kist Ka Status Aise Dekho
  • श्रेणीऋण और क्रेडिट — सभी गाइड
  • Hubसभी हिंदी योजना गाइड